The On Demand Global Workforce - oDesk

Tuesday, March 31, 2009

A Tribute to Nazia & Zohaib Hassan

PARAKHNA MAT



Parakhna mat, parakhne mein koi apna naheen rehta
Kisi bhi aainey mein der tak, chehra naheen rehta..

Bade logon se milne mein hamesha faasla rakhna
Jaha darya samandar se mila, darya naheen rehta..

Tumhara shehr toh bilkul naye andaaz wala hay
Hamare shehr mein bhi ab koi, hum sa naheen rehta..

Muhabbat aik khushboo hay hamesha saath chalti hay
Koi insaan tanhaayi mein bhi, tanha naheen rehta..


Wednesday, March 25, 2009

Tuesday, March 24, 2009

Sunday, March 22, 2009

Arzoo hai wafa ban ke tere saath rahun


Arzoo hai wafa ban ke tere saath rahun
Dhadakte dil ki sada ban ke tere saath rahun
Mere haathon se jise MAUT bhi naa chheen sake
woh zindagi ki DUA ban ke tere saath rahun...!

Qurb ke naa wafa ke hote hain

Qurb ke naa wafa ke hote hain
saare jhagre anna ke hote hain....

baat niyat ki sirf hai warna
waqt saare dua ke hote hain....

bhool jate hain, mat bura kehna
log putley khata ke hote hain.....

Woh bazahir jo kuch nahi lagte
un se rishtey balaa ke hote hain....

woh Humara hai is tarah se Faiz
jaise bandey Khuda ke hote hain....

Saturday, March 21, 2009

Humko maloom tha anjaam-e-muhabbat


Us ne Aanchal se nikali meri gumgashta biaz,
Aur chupke se muhabbat ka waraq mod diya..

Humko maloom tha anjaam-e-muhabbat humne,
Akhri harf se pehle hi qalam tod diya..

Tere Aane Ki Jab

Aap Ko Dekh Kar

Dil main ab dard-e-Mohabbat ke siwa


Dil main ab dard-e-Mohabbat ke siwa kuch bhi naheen,
ZIndagi meri ibaadat ke siwa kuch bhi naheen..

Main teri baargah-e-naaz main kia paish karun,
Meri jholi main Mohabbat ke siwa kuch bhi naheen..

Aey Khuda! Mujh se na ley mere gunahoon ka hisaab,
Mere pas Ashk-e-Nadamat ke siwa kuch bhi naheen..

Woh tu mitt kar mil hi gayee mujhko Rahat werna,
Zindagi Ranj-o-Museebat ke siwa kuch bhi naheen..

Jab Se Tu ne Mujhe Deewana Banas

Rangeela re

Friday, March 20, 2009

Lagta hai yaha log muhabbat nahi karte..


Aayat-e-muhabbat ki tilaawat nahi karte,
Lagta hai yaha log muhabbat nahi karte..

Anjaam-e-wafa soch k aaghaz karo tum,
Chupke se nikalne ki himaakat nahi karte..

Ye qaid sikha deti hai aadab-e-muhabbat,
Pinjre mein toh parinday b shararat nahi karte..

Woh kon hain kis waaste is dar pe pade hain,
Deewane kabhi dasht se hijrat nahi karte..


Baby Shakira

Thursday, March 19, 2009

Ek Sitam Aur Meri Jaan

My Online Diary

This is my Online Diary. In this diary I want to share my favorite Urdu poetry, Lyrics, Songs, Food Recipes and many more.